Hinglish
Assalamu Aleikum Rahematullahe -wa-Barkatahu
Assalamu Aleikum Rahematullahe -wa-Barkatahu
Pyar-o-Mohabbat ke silsile ka naam “Sufi” hai, jo sab se pyar kar sakta hai usko “Sufi” kahten hain, log puchten hain ke “Sufi” kab se hai? main kehta hoon jab se Mohabbat hai tab se “Sufi” hai. “Sufi” koi Lamba Jhubba, Lambi Topi Pahenne wale ka naam nahi hain, Coat Paint me bhi “Sufi” ho sakta hai, “Sufi” dusroon ko badalne ka naam nahi balke khud ko badalne ka naam hai.
“Sufi” ka paigam Mohabbat hai, Insaniyat hai, iska Parchar karne na jane kitne hi “Sufi” duniya bhar me maujod hain, is silsile ki ek kadi jo sar zamine Bijapur men hai, Jis ko log aaj “Peer Aadil Bijapuri” ke name se jante hain, jin ka Mazare Aqdas Bijapur men Maujod hai, In ke hi Janasheen Khalifa-e-Muazam “Hazrat Shaikh Mohammad Abdul Rauf Shah Quadri Al-Chisti Iftekhari Fehemi Peer” hain. Jinhone na jane kitne hi Bujhe Dilon ko Roshan Kiya, Raah se Bhatke logon ko Raah-e-hidayat batai. Khudi aur khuda kise kehten hain samjhaya.
Yeh baat sach hai ke jab tak Insan Khud se Pyar nahi kar sakta, tab tak Dusroon se Pyar nahi kar sakta, khud se pyar wahi kar sakta hai jo khud ko jaanta ho, pehchanta ho.
“Qissa-e- La Mehdood ka Mukhtasar fasana hai La Maqaa napne ka aadmi paimana hai”
Jo khud ko jaanta pehchanta hai wahi khuda ko bhi jaanta pehchanta hai, kyo ke “Har Bani Hovi Chiz Banane Wale Ka Pata Deti Hai” jo khuda ko janta hai wahi Makhloq se pyar kar sakta hai. Kyo ke,
“Pehla Sabaq hai yeh Kitabe Huda ka Tamam insan Kunmba hai khuda ka”
“Sufi” ka pehla sabaq hi pyar hai. Aap ne dekha hoga ke jab bhi aap kisi “Sufi Faqeer” ki Mazar par jaten hain wahan phool zaroor hoten hain, aur aap bhi unki Mazar par dalne sab se Behtareen Tohfa Phool hi le kar jaten hain, Kyo? Kyo ke phool Mohabbat ka Izhar hai. Phool ki Khushboo kabhi yeh Farq nahi karti ke is ki Khushboo se kaun Muattar ho raha hai, Phool ka Mazhab hi “Sufi” ka Mazhab hai.
Hazrat Peer Fehmi Mohabbat ke Baagh ke woh phool hain jo khilte to hain par khil kar Murjhate nahin hain, Rehti duniya in se Muattar hoti rahti hai, jis mein mohabbat hai woh zinda hai jis me mohabbat nahi woh murda hai, hazaroon murdoon ko Hayaat-e- Javedah Bakhashne ke liye “Hazrat Peer Fehmi” ne apni shakhen nikalin, jis ki har shakh par phool hi phool khilen, aur ek waqt aisa aaye key ye duniya Pyar-o-Mohabbat, Sukoon-o-Aman ka Baghicha nazar aaye. Aamin
No comments:
Post a Comment